Shafinn's life / Choices

Posts Tagged ‘Poetry

Apne maazi se jo virsay main mile hain hum ko By Iqbal Azeem

Apne maazi se jo virsay main mile hain hum ko

In asoolon ki tijarat nahin hogi hum se

Ehd-e-Hazir ki her ik baat humain dil se qabool

Sirf toheen-eriwayat nahin hogi hum se

Jhoot bhi bolain, sadaqat ke payambar bhi banain

Hum ko bakhsho, ye siyasat nahin hogi hum se

Zakhm bhi khayen, raqebon ko duain bhi dain

Itni makhdosh sharafat nahin hogi hum se

Surkh pathar ke sanam hon ke woh pathar ke sanam

But kadon main to ibadat nahin hogi hum se

Hai ita’at ke liye apna faqat aik khuda

Na-khudaon ki ita’at nahin hogi hum se

Gher mashroot rafaqat ke tarafdar hain hum

Shart ke saath rafaqat nahin hogi hum se

Fikr-o-Izhaar main hum hukm ke paband nahin

Shayari hasb-e-hidayat nahin hogi hum se

Sirf ye batain agar aap gawara karen

Aap ko koi shikayat nahin hogi hum se

PEGHAM-E-IQBAL By Iqbal Azeem

Apne Markaz Se Agar Duur Nikal Jao Ge
Khwaab Ho Jao Ge, Afsano Mein Dhal Jao Ge

Ab to chehron ke khad-o-khal bhi pehle se nahin
Kis ko maloom tha tum itne badal jao ge

Apne parcham ka kahin rang bhula mat dena
Surkh sholon se jo khelo ge to jal jao ge

De rahe hain tumhain to log rafaqat ka fareb
In ki tareekh parho ge to dehal jao ge

Apni Mitti Pe Hi Chalny Ka Saleeqa Seekho
Sang-e-Mar.Mar Pe Chalo Ge Tou Phisal Jao Ge

Khwabgahon se nikalte hue dartay kyon ho
Dhoop itni to nahin hai ke pighal jao ge

Taiz Qadmon Se Chalo Aur Tasadam Se Bacho
Bheer Mein Sust Chalo Ge To Kuchal Jao Ge

Humsafar Dhoondo Na Rahbar Ka Sahara Chaho
Thokarain Khao Ge To Khud Hi Sambhal Jao Ge

Tum Ho Ek Zinda Jawed Riwayat ke Chiraagh
Tum Koi Shaam Ka Suraj Ho ke Dhal Jao Ge

Subh sadik mujhe matloob hai kis se mangon
Tum to bholay ho, chraghon se behal jao ge

Meray Watan ke Udaas Logon, na khud ko itna HaQeer samjho

Ke koi tumse Hisaab maangay, Khawahishon ki Kitab mangay

Na khud ko itna Qaleel samjo, Ke koi uth ker kahey ye tumse

Wafain apni hamain luta do, Watan ko apny hamain Thama do

Chaand sitaron se kya poochun kab din mere phirte hain

Woh to bechare khud hain bhikari, dere dere phirte hain

Jin galiyon main hum ne sukh ki sej pe raten kaati thin

Un galiyon main vyaakul hokar saanjh saweray phirte hain

Roop-saroop ki jot jagana is nagari main jokhum hai

Chaaron khunt bagolay ban kar ghor andhere phirte hain

Jin ke sham-badan saye main mera maan sastaya tha

Ab tak aankhon ke aagay woh baal ghanere phirte hain

Koi hamain bhi ye samajha do un par dil kyon rijhh gaya

Teekhi chitvan baanki chhab wale bahu-tere phirte hain

Is nagri men baag aur baan ki yaron liila nayari hai

Paanchi apne sar pe uth kar apne baseray phirte hain

Log to daman see lete hain jaise ho ji lete hain

“Abid” hum diwane hain jo baal bikhere phirte hain

(By Abid Ali Abid)

Apne khawbon main tujhe jis ne bhi dekha hoga

Aankh khulte hi tujhe dhoondne nikla hoga

Zindagi sirf tere naam se mansoob rahe

Jane kitne hi damaghon ne ye socha hoga

Dost hum us ko hi paigum-e-karam samajhenge

Teri furqat ka jo jalta hua lamha hoga

Daman-e-zeest main ab kuch bhi nahin hai baaqi

Maut aaye to yaqeenan usay dhoka hoga

Roshani jis se utar aaye lahoo main mere

Ae masihaa woh mera zakhm-e-tamanna hoga

(By Abbas Dana)

Dil hai aa-ina-e-hairat se do-char aaj ki raat

Gam-e-dauran main hai aks-e-gham-e-yaar aaj ki raat

Aatish-e-gul ko daaman se hawa deti hai

Deedani hai ravish-e-mauj-e-bahaar aaj ki raat

Aaj ki raat ka mehmaan hai malboos-e-hareer

Is chaman-zaar men ugtay hain sharar aaj ki raat

Main ne farhaad ki aaghosh men sheerin dekhi

Main ne pervez ko dekha sar-e-dar aaj ki raat

Jo chaman sarf-e-khizaan hain woh bulate hain mujhe

Mujhe fursat nahin aaye jaan-e-bahaar aaj ki raat

Dar-e-yazdaan pe bhi jhukti nahin is waqt jabeen

Mujh se aankhain na lara ??? aaj ki raat

Mashaal-e-sheeer ka laya hun char-haawa “Abid”

Jag-magate hain shaheedon ke mazaar aaj ki raat

(By Abid Ali Abid)

Yeh aarzoo thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte

Hum aur bul-bul-e-betaab guftagu karte

Peyum-bar na muyasar hua to khoob hua

Zabaan-e-gair se kya sher ki aarzoo karte

Meri tarah se maah-o-mahar bhi hain aawara

Kisi habib ko ye bhi hain justaju karte

Jo dekhte teri zanjeer-e-zulf ka aalam

Aseer honay ke aazad aarzoo karte

Na pooch aalam-e-bargashta taali’-e-Aatish

Barasti aag main jo baraan ki aarzoo karte

(By Haider Ali Aatish)

Yaar ko main ne mujhe yaar ne sonay na diya

Raat bhar taal’i-e be-daar ne sonay na diya

Ik shab bul-bul-e-betaab ke jaage na naseeb

Pehlu-e-gul main kabhi khaar ne sonay na diya

Raat bhar ki dil-e-betaab ne baaten mujh se

Mujh ko is ishq ke beemar ne sonay na diya

(By Haider Ali Aatish)

Sun to sahi jahan main hai tera fasana kya

Kehti hai tujh se khalq-e-khuda gaibana kya

Zina saba kaa dhoondti hai apni musht-e-khaak

Baam-e-buland yar ka hai aastana kya

Aati hai kis tarah se meri kabz-e-rooh ko

Dekhoon to maut dhoondh rahi hai bahana kya

Betaab hai kamal hamara dil-e-azeem

Mehmaan saraay-e-jism ka hoga rawana kya

(By Haider Ali Aatish)

Taraptay hain, na rote hain, na ham faryaad karte hain

Sanam ki yaad main har-dam khaduu ko yaad karte hain

Unhin ke ishq main ham naala-o-faryaad karte hain

Ilaahi dekhiye kis din humain woh yaad karte hain

Shab-e-furqat main kyon-ker saanp lehraate hain seene par

Tumhaari kukul-e-pechan ko jab ham yaad karte hain

(By Haider Ali Aatish)


May 2024
M T W T F S S
 12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031