Shafinn's life / Choices

Archive for the ‘Abid Ali Abid’ Category

Chaand sitaron se kya poochun kab din mere phirte hain

Woh to bechare khud hain bhikari, dere dere phirte hain

Jin galiyon main hum ne sukh ki sej pe raten kaati thin

Un galiyon main vyaakul hokar saanjh saweray phirte hain

Roop-saroop ki jot jagana is nagari main jokhum hai

Chaaron khunt bagolay ban kar ghor andhere phirte hain

Jin ke sham-badan saye main mera maan sastaya tha

Ab tak aankhon ke aagay woh baal ghanere phirte hain

Koi hamain bhi ye samajha do un par dil kyon rijhh gaya

Teekhi chitvan baanki chhab wale bahu-tere phirte hain

Is nagri men baag aur baan ki yaron liila nayari hai

Paanchi apne sar pe uth kar apne baseray phirte hain

Log to daman see lete hain jaise ho ji lete hain

“Abid” hum diwane hain jo baal bikhere phirte hain

(By Abid Ali Abid)

Dil hai aa-ina-e-hairat se do-char aaj ki raat

Gam-e-dauran main hai aks-e-gham-e-yaar aaj ki raat

Aatish-e-gul ko daaman se hawa deti hai

Deedani hai ravish-e-mauj-e-bahaar aaj ki raat

Aaj ki raat ka mehmaan hai malboos-e-hareer

Is chaman-zaar men ugtay hain sharar aaj ki raat

Main ne farhaad ki aaghosh men sheerin dekhi

Main ne pervez ko dekha sar-e-dar aaj ki raat

Jo chaman sarf-e-khizaan hain woh bulate hain mujhe

Mujhe fursat nahin aaye jaan-e-bahaar aaj ki raat

Dar-e-yazdaan pe bhi jhukti nahin is waqt jabeen

Mujh se aankhain na lara ??? aaj ki raat

Mashaal-e-sheeer ka laya hun char-haawa “Abid”

Jag-magate hain shaheedon ke mazaar aaj ki raat

(By Abid Ali Abid)


May 2024
M T W T F S S
 12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031