Shafinn's life / Choices

Posts Tagged ‘Faraz Poem

Kuch muhabat ka nasha tha pehle hum ko Faraz

Dil jo tota to nashe se muhabat ho gai

——————

Yeh wafa to un dinon ki baat hay Faraz

Jab makaan kachy or log sachay hoa krty thy..

——————

Kon deta ha umar bhar ka sahara ae Faraz

LOG tu JANAZAY man bhi kandhay badaltay rahtay hein..

——————

Kis ki Kya majal thi jo koi Hum ko kharid sakta Faraz

Hum to khud hi Bik gaey kharidar dekh k..

——————

Ham na badlein gay waqt ki raftaar kay sath Faraz

Ham jab bhi milen gay andaz purana hoga..

——————

Tera Na Ho Saka To Mar Jaon Ga Faraz

Kitna Khobsurat Wo Jhoot Bolta Tha..

——————

Wo Bewafa na tha youn hi badnaam ho gya Faraz

Hazaron chaheny waly thy kis kis say wafa karta..

——————

Hum pe faqat ilzaam k hum hain zuban daraz

hum ne to bus kaha tha hamain tum se piyar hai..

——————

Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz

Auron k saharay to Janazay utha kartay hain..

——————

Bari Mushkil se Sulaaya tha Khud Ko FARAZ Main ne Aaj

Apni Aaankon Ko Tare Khuwaab Ka Laalach de Ker..

——————

Wo roz dekhta hai dubtay huay suraj ko faraz

Kash mai b kisi shaam ka manzir hota..

(By Ahmad Faraz)

Zakhm ko phool to sar sar ko saba kahte hain
jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain

kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab vahi log hamain abalapa kahte hain

koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain

ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain

jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain

kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko ‘Faraz’
wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain

(By Ahmad Faraz)

Suna Hai Loog Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain

Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain
Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain

Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey
Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain

Kahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi
Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte Hain

Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar
Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain

Too Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata
Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain

Yeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein
Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain

Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui
So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain

Buhut Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar
Chalo Faraz Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain

(By Ahmad Faraz)


May 2024
M T W T F S S
 12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031