Shafinn's life / Choices

Posts Tagged ‘Daagh Dehelvi

Aarzu hai wafa kare koi
jeena chahe to kya kare koi

gar marz ho dawa kare koi
marne wale ka kya kare koi

koste hain jale hue kya kya
apne haq main dua kare koi

un se sab apni apni kahte hain
mera matlab ada kare koi

tum saraapa ho soorat-e-tasvir
tum se phir baat kya kare koi

jis main lakhon baras ki hooren hon
aisi jannat ko kya kare koi

(By Daagh Dehelvi)

Ajab apna haal hota jo wisal-e-yaar hota
kabhi jaan sadqey hoti kabhi dil nisaar hota

na maza hai dushmani main na hai lutf dosti main
koi gair gair hotaa koi yaar yaar hota

ye maza tha dil lagi ka ke barabar aag lagati
na tumhain qarar hota na hamain qarar hota

tere wade par sitam agar abhi aur sabar kartey
agar apni zindagi ka hamain aitabar hota

(By Daagh Dehelvi)

Aafat ki shokhiyan hain tumhari nigah main
mehshar ke fitney kheltey hain jalwa-gaah main
wo dushmani se dekhatey hain dekhtey to hain
main shaad hun ke hun to kisi ki nigaah main
ati baat baat mujhe yaad baar baar
khata hun daud daud ke qasid se raah main
is taubah par hai naaz mujhe zaahid is qadar
jo toot kar sharik hun haal-e-tabah main
mushtaq is ada ke bahot dard-mand the
ae daag tum to baith gaye ek ah main

(By Daagh Dehelvi)


May 2024
M T W T F S S
 12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031