Shafinn's life / Choices

Posts Tagged ‘Iqbal Shayari

Mumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan
auron ki nigahon mein wo mausam ho khizan ka

hai sil-sila ehwal ka har lahja dagargun
ae salek-rah fikr na kar sudo-zayan ka

shayad k zamin hai wo kisi aur jahan ki
tu jisko samajhta hai falak apne jahan ka

 

—————-

 

Ham mashriq k musalmanon ka dil magrib mein ja atka hai
wahan kuntar sab billori hai, yahan ek purana matka hai

is daur mein sab mit jayenge, han baqi wo rah jayega
jo qayam apni rah pe hai, aur pakka apni hat ka hai

ae shaikh-o-brahman sunte ho kya ahl-e-basirat kahte hain
gardon ne kitani bulandi se un qaumon ko de patka hai

(By Allama Iqbal)

Jinhain main dhundhta tha aasmanon main zaminon main

Wo nikale mere zulmat-e-khana-e-dil ke makinon main

mahine vasl ke ghariyon ki suurat urtay jate hain

magar ghariyan judai ki guzarti hain mahinon main

mujhe rokega tu ae na-khuda kya gharq hone se

ki jin ko doobna hai doob jate hain safinon main

jala sakti hai sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki

ilahi kya chuupa hota hai ahl-e-dil ke sinon main

tamana dard-e-dil ki ho to kar khidamat faqiron ki 

nahin milta ye gauhar baadshahon ke khazinon main

muhabbat ke liye dil dhoond koi tootnay wala

ye vo mai hai jise rakhte hain nazuk aaab-ginon main

bura samajhon unhain mujh se to aisa ho nahin sakta
ke main khud bhi to huun "Iqbal" apne nukta-chinon main

(By Allama Muhammad Iqbal)

Utho meri dunya k garibon ko jaga do
khak-e-umra k dar-o-diwar hila do

garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do

sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do

jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet k har khosha-e-gandum ko jala do

kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do

main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
mere liye mitti ka haram aur bana do

tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do

(By Allama Iqbal)

Shikwa-e-ashq nahi Jurat-e-guftar nahin

mary hathon main jabar ki talwar nahin

Ibn-e-Adam hun insan se Mohabat ki hai

Aag ka chand ka Pathar ka paristar nahin

ae khuda mujh ko meri Ibadat k badly Mohabat de de

Main teri kisi b jannat ka kharidar nahin

jis ne insan se mohabat hi na ki ho

wo dar haqiqat khuda ka b talabgaar nahin

(By Allama Iqbal)


May 2024
M T W T F S S
 12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031