Shafinn's life / Choices

Archive for the ‘Habib Jalib’ Category

aur sab bhool gaye harf-e-sadaqat likhna
reh gayaa kaam hamara hi baghavat likhna

laakh kehte rahe zulmat ko na zulmat likhna
ham ne seekha hi nahin pyaray baa_ijazat likhna

na silay ki na sitaaish ki tamana ham ko
haq main logon ke hamari to hai aadat likhna

ham ne jo bhool ke bhi shaah ka qasida na likha
shayud aya isi Khubi ki badaulat likhna

us se barh kar meri tehseen bhala kya hogi
parh ke na-khush hain mera sahab-e-sarvat likhna

dahar ke Gam se hua rabt to ham bhool gaye
sarv qaamat ki javaani ko qayamat likhna

kuch bhi kehte hain kahen shah ke masahib ‘Jalib’
rang rakhna yehi apna isi soorat likhna

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay
Wo jo saye main har maslihat kay palay
Aisay dastoor ko
Subh e bay noor ko
Main nahin manta
Main nahin janta.

Main bhi kha’if nahin takhta e daar say
Main bhi Mansoor hoon, keh do aghyaar say
Kyun daratay ho zindaan ki divar say
Zulm ki bat ko
Jehel ki rat ko
Main nahin manta
Main nahin jaanta

Phool shakhon pay khilnay lagay tum kaho
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho
Iss khulay jhoot ko
Zehan ki loot ko
Main nahin manta
Main nahin jaanta

Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon
Tum naheen charaagar
Koi maanay magar
Main nahin manta
Main nahin janta


May 2024
M T W T F S S
 12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031