Shafinn's life / Choices

Posts Tagged ‘Best of Mohsin Naqvi

Suraj ko dafnanay aye

Dhalti shaam ke lambay saye

Dukh ne sukh ka saans liya hai

Kaash koi phir yad na aye

Aik hi rasta ham donon ka

Dekhain kon kahan tak jaye

Aaj ghaat se khushbu barsi

Jaise koi zulfain lehraye

Kaash koi samjhaye us ko

Laikin kon usay samjhaye

Tujh se yun bichda ho jaise

Pathar se sheesha takraye

Banjar dharti pooch rahi hai

Chaand pe kis ne shahar basaye

Woh khushbu ki mauj hai “MOHSIN”

Kon us ki tasveer banaye

(By Mohsin Naqvi)

Rukhsat hua to baat meri maan kar gaya

Jo us ke pass tha, mujhe dhaan kar gaya

Bichra kuch is aada se ke rut hi badal gayi

Ik shaks saray shehar ko weraan ker gaya

Dil-chasp waqia tha ke kal ik aziz dost

Apne mufaad par mujhe qurban kar gaya

Kitni sudhar gayi hai judayi main zindagi

Haan wo wafa se mujh par ehsaan kar gaya

“MOHSIN” main baat baat par kehta tha jis ko jaan

Wo shaks aakhir mujh ko be-jaan kar gaya

(By Mohsin Naqvi)

Ik moja-subh-e-janoon taiz bohat hai

Ik saans ka sheesha hai ke labraiz bohat hai

Palkon pe charagh ko sambhaley hoye rekhna

Es hijar ke mosam ki hawa tiaz bohat hai

Kia us ke khad-o-khaal khulain apni ghazal main

Wo shahar ke logon main kam-aamaiz bohat hai

“MOHSIN” us se mila hai to dukhney do yeh ankhain

Kuch dair or bhi jago ke wo “SHAB KHAIZ” bohat hai

(By Mohsin Naqvi)

Itni shohrat bhi kahan chahi thi khud se main ne

Apne hi shaher ka har shaks adoo mera hai

Dhoop chaoon ki yeh rut DIL main tehar janey de

Aks tera hai tu saya labey jo mera hai

Patharon se hai MOHABBAT mujhe yun bhi “MOHSIN”

Sang-dil shehar main ik aina-ro mera hai

Woh bazahir jo zamanay se khafa lagta hai

Hans ke bolay bhi to duniya se juda lagta hai

Or kuch dair na bujhne de isay Rabb-e-sahar

Doobta chand meri dast-e-dua main lagta hai

Jis se munh pher ke rastey ki hawa guzri hai

Kisi ujray hoye aangan ka diya lagta hai

Munh chupaye hoye guzra hai jo mujh se aaj

Us ki ankhoon main koi zakhm naya lagta hai

Ab to “MOHSIN” ke tassavur main utar Rab-e-jaleel

Is udaasi main to Pathtar bhi khuda lagta hai

(By Mohsin Naqvi)

Ab yeh sochon tu bhanwar zehen main par jatay hain

Kaise chehray hain jo miltay hi bichad jatay hain

Mosam-e-zad main ik dil ko bachaon kaise

Haan kuch diye tund-hawaon se bhi lar jatay hain

Soch ke aaina dhundla ho tu phir waqt ke saath

Pathron main bhi kabhi “MOHSIN” aainay jad jatay hain

(By Mohsin Naqvi)

Wafa main ab yeh hunar bhi ikhtiyar kerna hai

Woh sach kahay na kahay aitabar kerna hai

Yeh tujh ko jagtay rehney ka shoq kab se howa

Mujhe tu khair tera intezaar kerna hai

Hawa ki zad main jalanay hain ANSUOON ke charagh

Kabhi yeh jashan sar-e-raahguzar bhi kerna hai

Woh muskara ke naye waswasoon main daal gaya

Khayal tha usay sharam-saar karna hai

KHUDA khabar yeh koi zid, ke shoq hai “MOHSIN”

Khud apni JAAN K DUSHMAN se pyar kerna hai

(By Mohsin Naqvi)

Ujray hue logon se gurai-zaan na howa ker

Haalat ki kabroon ke yeh katbay bhi padha ker

Har waqt ka hansna tujhe barbaad na kerde

Tanhai ke lamhon main kabhi ro bhi liya ker

Is shab ke muqadar main saher hi nahin “MOHSIN”

Hum ne dekha hai kaye baar charaghon ko bhuja ker

(By Mohsin Naqvi)

Suno aaisa nahi kertay!

Safar tanha nahi kertay!

Jise shafaf rekhna ho

Usay maila nahi kertay!

Bohat ujre hue ghar pe

Bohat socha nahi kertay!

Safar jis ke muqadar ho

Usay roka nahi kertay!

Jo mil ker khud se kho jaye

Usay ruswaa nahi kertay!

Yeh onchaion pe kaise hain

Kahie saya nahi kertay!

Chalo tum raaz ho apna

Tumhain afshaan nahi kertay!

Teri ankhon ko parhtay hain

Tujhe dekha nahi kertay!

Sahar se pooch lo “MOHSIN”

Ke hum soya nahi kertay!

(By Mohsin Naqvi)

Main jahan be-lab tha phir bhi asoolon pe aar gaya

Bhujta huwa charagh hawaon se laar gaya

Kis kis ka saath de koi mailay ki bheer main

Phir yun howa woh achanak bichad gaya

Main ne qadam barhaya jo sehra ki dhoop main

Ghabra ke mera saya, mere paon par gaya

“MOHSIN” dil-e-garib ki veeraniyan tu daikh

Kaisa nagar tha jo tere hathon ujar gaya

(By Mohsin Naqvi)

Tamam shab jahan jalta hai ik udas diya

Hawa ki rahon main ik aaisa ghar bhi aata hai

Woh mujhe toot ke chahay ga chor jaye ga

Mujhe khabar thi usay yeh hunar bhi aata hai

Wafa ki konsi manzil pe choda hai us ne

Ke woh yaad hamain bhool ker bhi aata hai

Isi liye main kisi shab na so saka “MOHSIN”

Woh maahtab kabhi baam per bhi tu aata hai

(By Mohsin Naqvi)


May 2024
M T W T F S S
 12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031