Shafinn's life / Choices

Archive for the ‘Sahir Ludhyanvi’ Category

apne seenay se lagaye huye umeed ki laash
mudaton zeest ko nashaad kiya hai main ne
tu ne to ek hi sadmay se kiya tha do-char
dil ko har tareh se barbad kiya hai main ne
jab bhi rahon men nazar aye hurari malboos
saard aahon se tujhe yad kiya hai main ne

aur ab jab kay meri rooh ki pahnai main
ek sunsaan si maghmoom ghata chaaye hai
tu damakate hue aariz ki shuayain lekar
gul_shuda shamain jalane ko chali ai hain

mere mehb0ob ye hangama-e-tajadid-e-wafa
mere afasurda javani ke liye raas nahin
main ne jo phool chunay thay tere qadmon ke liye
un ka dhundhla-sa tasavur bhi mere pas nahin

ik yakh_basta udaasi hai dil-o-jan pe muheet
ab meri rooh main baqi hai na umeed, na josh
reh gaya dab ke giran_bar salasil ke talay
meri darmanda javani ki umangon ka Kharosh

kabhi kabhi mere dil men Khayal ata hai…

ke zindagi teri zulfon ki narm chaon men
guzarane pati to shadab ho bhi sakati thi
ye tirgi jo meri zist ka muqaddar hai
teri nazar ki shuaon men kho bhi sakati thi

ajab na tha ke main begana-e-alam ho kar
tere jamal ki ranaiyon men kho rahata
tera gudaz badan teri neem bar ankhain
inhin hasin fasanon men maho rahata

pukaratin mujhe jab talKhiyan zamane ki
tere labon se halawat ke ghunt pi leta
hayat chikhati phirati barahana-sar, aur main
ghaneri zulfon ke saye men chhup ke ji leta

magar ye ho na saka aur ab ye alam hai
ke tu nahin, tera Gam, teri justaju bhi nahin
guzar rahi hai kuchh is tarah zindahi jaise
ise kisi ke sahare ki arazu bhi nahin

zamane bhar ke dukhon ko laga chuka hun gale
guzar raha hun kuchh anjani guzar gahon se
muhib saye meri simt ba.Date ate hain
hayat-o-maut ke pur-haul Kharazaron se

na koi jada na manzil na roshani ka suraG
bhaTak rahi hai Khalaon men zindagi meri
inhin Khalaon men rah jaunga kabhi khokar
main janata hun meri ham-nafas magar yun hi

kabhi kabhi mere dil men Khayal ata hai

I love these words, each time it read them it touches my heart and the POET is Sahir Ludhyanwi. I get to feel what he might have been feeling when he was writing down these words!
 

 Aap bevajah pareshaaN si kyoN haiN maadaam
log kahate haiN to phir Theek hi kehte hoNge
mere ehabaab ne tahazeeb na seekhi hogi
mere maahaul meiN iNsaan na rehte hoNge

Noor-e-sarmaayaa se hai ruu-e-tamaddun ki jila
ham jahaaN haiN vahaaN tahazeeb nahiiN pal sakati
mufalisi hiss-e-lataafat ko miTaa deti hai
bhook aadaab ke saaNche meiN nahiN Dhal sakati

Log kahate haiN to logoN pe ta-ajjub kaisaa
sach to kahate haiN ki naadaaroN ki izzat kaisi
log kahate haiN magar aap abhi tak chup haiN
aap bhi kahiye GareeboN meiN sharaafat kaisi

Nek maadaam! bahut jald woh daur aayegaa
jab hameN zeest ke adavaar parakhane hoNge
apani zillat ki qasam, aap ki azamat ki qasam
hamako ta-azeem ke me-aar parakhane hoNge

Ham ne har daur meiN tazaleel sahi hai lekin
ham ne har daur ke chehare ko ziya baKhshi hai
ham ne har daur meN mehanat ke sitam jhele haiN
ham ne har daur ke haathoN ko hina baKhshi hai

Lekin in talkh mubaahis se bhala kya haasil
log kahate haiN to phir Theek hi kahate hoNge
mere ehabaab ne tahazeeb na seekhi hogi
mere maahaul meiN iNsaan na rehte hoNge


May 2024
M T W T F S S
 12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031