Shafinn's life / Choices

Ab meri rooh main baqi hai na umeed, na josh (Sahir Ludhyanwi)

Posted on: November 24, 2010

apne seenay se lagaye huye umeed ki laash
mudaton zeest ko nashaad kiya hai main ne
tu ne to ek hi sadmay se kiya tha do-char
dil ko har tareh se barbad kiya hai main ne
jab bhi rahon men nazar aye hurari malboos
saard aahon se tujhe yad kiya hai main ne

aur ab jab kay meri rooh ki pahnai main
ek sunsaan si maghmoom ghata chaaye hai
tu damakate hue aariz ki shuayain lekar
gul_shuda shamain jalane ko chali ai hain

mere mehb0ob ye hangama-e-tajadid-e-wafa
mere afasurda javani ke liye raas nahin
main ne jo phool chunay thay tere qadmon ke liye
un ka dhundhla-sa tasavur bhi mere pas nahin

ik yakh_basta udaasi hai dil-o-jan pe muheet
ab meri rooh main baqi hai na umeed, na josh
reh gaya dab ke giran_bar salasil ke talay
meri darmanda javani ki umangon ka Kharosh

1 Response to "Ab meri rooh main baqi hai na umeed, na josh (Sahir Ludhyanwi)"

hope you can complete all the hindi poets with the english translation. it will be super great 🙂

Leave a comment

November 2010
M T W T F S S
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930