Shafinn's life / Choices

Posts Tagged ‘Aankhain bheeg jaati hain

Samandar main utarta hun to aankhain bheeg jaati hain

Teri aankhon ko parhta hun to aankhain bheeg jaati hain

Tumhaara naam likhne ki ijaazat ch-iin gayi jab se

Koi bhi lafz likhta hun to aankhain bheeg jaati hain

Teri yaadon ki khushbu khirkiyoun main raqq-s karti hai

Tere gham main sulagta hun to aankhain bheeg jaati hain

Main hans ke jhail laita hun judaye ki sabhi rasmain

Galey jab us ke lagta hun to aankhain bheeg jaati hain

Na-jaane ho gaya hoon is-qadar hasaas main kab se?

Kisi say baat karta hun to aankhain bheeg jaati hain

Woh sub guzrey hue lamhaat mujh ko yaad aatey hain

Tumhare khat jo parhta hun to aankhain bheeg jaati hain

Main saara din bohat masroof rehta hun magar juunhi

Qadam chau-khat pe rakhta hun to aankhain bheeg jaati hain

Har ik muflis ke maathay par alam ki daastaanain hain

Koi chehra bhi parhta hun to aankhain bheeg jaati hain

Barey logon ke oonchay bad-numa or sard mehlon ko

Ghareeb aankhon se takta hun to aankhain bheeg jaati hain

Tere koochey se ab mera taal-luq waajibi sa hai

Magar jab bhi guzarta hun to aankhain bheeg jaati hain

Hazaron mosamon ki huk-marani hai mere dil par

“Wasi” main jab bhi hansta hun to aankhain bheeg jaati hain!!

(By Wasi Shah)


May 2024
M T W T F S S
 12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031