Shafinn's life / Choices

Posts Tagged ‘Words I Love!

Apne maazi se jo virsay main mile hain hum ko By Iqbal Azeem

Apne maazi se jo virsay main mile hain hum ko

In asoolon ki tijarat nahin hogi hum se

Ehd-e-Hazir ki her ik baat humain dil se qabool

Sirf toheen-eriwayat nahin hogi hum se

Jhoot bhi bolain, sadaqat ke payambar bhi banain

Hum ko bakhsho, ye siyasat nahin hogi hum se

Zakhm bhi khayen, raqebon ko duain bhi dain

Itni makhdosh sharafat nahin hogi hum se

Surkh pathar ke sanam hon ke woh pathar ke sanam

But kadon main to ibadat nahin hogi hum se

Hai ita’at ke liye apna faqat aik khuda

Na-khudaon ki ita’at nahin hogi hum se

Gher mashroot rafaqat ke tarafdar hain hum

Shart ke saath rafaqat nahin hogi hum se

Fikr-o-Izhaar main hum hukm ke paband nahin

Shayari hasb-e-hidayat nahin hogi hum se

Sirf ye batain agar aap gawara karen

Aap ko koi shikayat nahin hogi hum se

PEGHAM-E-IQBAL By Iqbal Azeem

Apne Markaz Se Agar Duur Nikal Jao Ge
Khwaab Ho Jao Ge, Afsano Mein Dhal Jao Ge

Ab to chehron ke khad-o-khal bhi pehle se nahin
Kis ko maloom tha tum itne badal jao ge

Apne parcham ka kahin rang bhula mat dena
Surkh sholon se jo khelo ge to jal jao ge

De rahe hain tumhain to log rafaqat ka fareb
In ki tareekh parho ge to dehal jao ge

Apni Mitti Pe Hi Chalny Ka Saleeqa Seekho
Sang-e-Mar.Mar Pe Chalo Ge Tou Phisal Jao Ge

Khwabgahon se nikalte hue dartay kyon ho
Dhoop itni to nahin hai ke pighal jao ge

Taiz Qadmon Se Chalo Aur Tasadam Se Bacho
Bheer Mein Sust Chalo Ge To Kuchal Jao Ge

Humsafar Dhoondo Na Rahbar Ka Sahara Chaho
Thokarain Khao Ge To Khud Hi Sambhal Jao Ge

Tum Ho Ek Zinda Jawed Riwayat ke Chiraagh
Tum Koi Shaam Ka Suraj Ho ke Dhal Jao Ge

Subh sadik mujhe matloob hai kis se mangon
Tum to bholay ho, chraghon se behal jao ge


April 2024
M T W T F S S
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930